Read the following passage: 'Rishi-muniyon ne gahan chintan ke baad yah udghosh kiya hai - Gaavo Vishvasya Mataarah. Bharatvarsh mein sadiyon se gaay dhan aur dhaanya ki daatri arthaat ek upyogi pashu maatra hi nahin varan yahaan ke log use pavitra aur poojya maankar atyant aastha ka bhaav rakhte hain. Gaudhan ke prati aadar bhaav hamaari puraatan sanskriti ka atoot hissa raha hai. Dwapar kaal mein Gopal naam se vikhyaat Shri Krishna swayam gwaala bankar gau sewa karte drishtigochar hote hain.' Question: What do the people consider sacred and worthy of worship?